Saturday, March 12, 2011

time kahaan hai

kaisi hai yeh zindagi,
kaisi hai yeh paheli,
kehne ko toh sab kuch hai hamaare paas,
fir bhi zindagi jeene ka time kahaan hai.

rehte hain har samay busy mode mein,
kaam karte hain ghadi ke kaaton pe,
chain se khaana kya hota hai yeh ab yaad hi nahin hai,
bhookh ka santusht hona kya hota hai, yeh ab dhyaan mein hi nahin hai.

mobile ke phone book mein number toh hain kaafi,
lekin kisi ko dial karne ka khyaal kahaan hai,
face to face ki jagah baatein hoti hain facebook pe,
doston ke saath baithke gappe haankne ka time kahaan hai.

har movie ho jaati hai internet se hi download,
woh interval mein samose khaana ab kahaan hai;
train ki ticket ghar se hi book ho jaati hai,
woh line mein ghanto khade rehne ke baad ticket milne ki khushi kahaan hai.

asli ke bajae nakli cheezo ne hamein ghera hai,
ab bacchon ka time pass cricket ke bajaae play station pe hota hai;
ghar ke functions bhi ab meetings ki tarah attend hote hain,
family ke beech mein hone ka ab time kahaan hai.

pados mein kaun rehta hai yeh pata nahin,
unka naam kya hai yeh bhi kahaan jaante hain,
apne se zyaada doosre kya kar rahe hain iski chinta hai,
khood kya chaahte hain yeh kahaan pata hai.

gaadi mein baith ke khaate hain AC ki hawa,
khuli hawa mein ghoomne jaana ab kahaan hai;
kehte hain ab zamaana badal gaya hai,
iski wajah hum khud hain yeh sochne ka time kahaan hai.

No comments:

Post a Comment