Sunday, June 13, 2010

Yeh kya hua..!!

The following is about almost all the college pass outs..:)


Yeh kya hua, kaise hua,
Kab hua, kyun hua,
Jab hua, tab hua,
Choddo, yeh na poocho.

Huh..!! yeh toh hona hi tha,
Hum ko ek din badaa ban na hi tha;
Nikal chuke hum us befikr daur se,
Ho chuke hain apne aap se bhi door se.

Abhi toh the hum bachche thode samay pehle,
Soye rehte the apne palang pe faile;
De di hai lagaam humein apne waahan ki,
Ab karni hogi humein chinta saare jahaan ki.

Woh projects ki deadlines,
Woh manager ki BOLD lines;
Sun ni padti hain ab baatein sab ki,
Tabhi toh beta hogi hamaari tarakki.

Bhool gaye hain woh doston ke saath baithna,
Ghanton, bewajah baaton pe charcha karna;
Yaad aa raha hai ab unka woh kehna,
"Lectures attend kar, aur notes hamaare liye rakhna".

Ghooma karta tha apni bike pe maze mein,
Pauhanch jaata tha kisi bhi jagah pe kuch hi minton mein;
Ab roz kha raha hun buson mein dhakke,
Sabhi ne hai mere jooton pe unke joote rakhe.

Khaana pad raha hai ab canteen ka ganda khaana,
Menu ghatiya hone par bhi nahin banaa sakta koi bahaana;
Yaad aa rahi hai ab maa ke haathon ki woh roti,
Mulaayam, garm, fooli hui aur choti. :p

Dhota hun khud ke kapde ab khud,
Nahin sikha abhi tak bana na apna food;
Aa rahi hai ab bade hone ki feeling,
Bade soch samajh kar karta hun ab paison ki handling.

Shrishti ka yahi neeyam hai pyaare,
College ke baad sab ke ho jaate hain vaare nyaare;
Kyun hua bada yeh main ab sochta hun,
Beete palon ke hi sapne dekha karta hun.

Lekin yeh waali zindagi mein bhi kuch baat hai,
Ismein bhi chipe hue kai raaz hain;
Seekh raha hun roz kai nayi baatein,
Unki implementation mein kaat raha hun apni raatein.

Nahin hatoonga iss rah se yeh mera faisla hai;
Kuch naya karne ka iss dil mein ab jasbaa hai.