Thursday, March 3, 2011

kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote

Inspired by the movie ‘Udaan’


kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.


apne khwaab bichaaye tumne meri palkhon par,
kabhi meri aankhon se bhi yeh jahaan dekhe hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

chalne ko to chal diya main akela apni raah par,
mere peeche mudke dekhne par kaash tum nazar aaye hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

ghar banaaya tha maine reth mein,
usme ek inth ka tudka tum bhi daale hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

boya tha beej maine jis paudhe ka,
do boond paani usko tum bhi diye hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

dekha tha maine in aankhon se ek sapna,
aankhon ko kuch der aur band rehne diye hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

karna chaaha tha maine is duniya ko mutthi mein,
us muthi ki ek ungli agar tum bane hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

udaan bharni chaahi thi maine is khule gagan mein,
apne haathon se mujhe tum khud chode hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

zindagi toh aise bhi kat jayegi,
is zindagi ka hissa tum bhi bane hote,
kuch kadam mere saath kash tum bhi chale hote.

2 comments:

  1. Good one dude..I like this one above all post here..

    ReplyDelete
  2. Kuch madam mere sath kash tum bhi chale hote...keep it up :)

    ReplyDelete