disclaimer: sorry for using the word 'saali' , but this wudn't have had the effect without it..:)
Bhagaaye humein, sataaye humein, tadpaaye humein, ghumaaye humein;
Na jaane kaisi hai yeh, saali khushi.
Dhoonde ise hum jagah jagah, iske thikaane ka pata nahin,
Jab mile toh ispe bharosa nahin, na mile toh issa koi aur bura nahin,
Jisko mile woh bhi khush, na milne walon ke dookh ka koi ilaaj nahin;
Aisi hai yeh, saali khushi.
Jitni bhi koshish karo bhage gi yeh door tumse,
Bhaago ge tum tez, phir bhi yeh rahegi aage tumse,
Bhool kyun jaate ho tum, ke hai iska astitva sirf tum hi se;
Aisi hai yeh, saali khushi.
Kisi ka chehra khil uthe isi se,
Kisi ka khoon badhe isi se,
Kisi ki chinta ghate isi se;
Aisi hai yeh, saali khushi.
Rulaaye bhi yeh, hasaaye bhi yeh,
Dono mein bilkul alag si hai yeh,
Dikhti hai nahin, phir bhi anmol hai yeh;
Aisi hai yeh, saali khusi.
Pata nahin kyun yeh hamesha nahin rehti,
Kisi ke chehre pe yeh hamesha nahin dikhti,
Kaisi hoti yeh zindagi agar hoti yeh dukaano mein bikti;
Aisi hai yeh, saali khushi.
Zindagi hai isi se, nahin toh kuch bhi nahin;
Aisi hai yeh, saali khushi.
Always keep smiling. Life would be better. It affects others as much as it affects you.
U made it urself?? Amazing... Loved it :-)
ReplyDeletehey yeah..i made it myself..thanks..:)
ReplyDeleteWaah Amrit waah !!
ReplyDeletethanks jaya..
ReplyDelete